Reading Time: < 1 minute

Poem

Moko Kahan Dhundhere Bande
Mein To Tere Paas Mein
Na Teerath Mein, Na Moorat Mein
Na Ekant Niwas Mein
Na Mandir Mein, Na Masjid Mein
Na Kabe Kailas Mein
Mein To Tere Paas Mein Bande
Mein To Tere Paas Mein
Na Mein Jap Mein, Na Mein Tap Mein
Na Mein Barat Upaas Mein
Na Mein Kiriya Karm Mein Rehta
Nahin Jog Sanyas Mein
Nahin Pran Mein Nahin Pind Mein
Na Brahmand Akas Mein
Na Mein Prakuti Prawar Gufa Mein
Nahin Swasan Ki Swans Mein
Khoji Hoye Turat Mil Jaoon
Ik Pal Ki Talas Mein
Kahet Kabir Suno Bhai Sadho
Mein To Hun Viswas Mein

English Translation:

Where do you search me?
I am with you
Not in pilgrimage, nor in icons
Neither in solitudes
Not in temples, nor in mosques
Neither in Kaba nor in Kailash
I am with you O man
I am with you
Not in prayers, nor in meditation
Neither in fasting
Not in yogic exercises
Neither in renunciation
Neither in the vital force nor in the body
Not even in the ethereal space
Neither in the womb of Nature
Not in the breath of the breath
Seek earnestly and discover
In but a moment of search
Says Kabir, Listen with care
Where your faith is, I am there.

Previous Poem
What Kind Of God?
Next Poem
Where Spring, The Lord Of The Seasons